Eid CoLLectioN—-

(‘* Eid Ki Khushi *’)

Hai Aabidon Ko Taa’at-O-Tajreed Ki Khushi,,

Aur Zaahidon Ko Zuhad Ki Tamheed Ki Khushi,,

Rindh Aashiqon Ko Hai Kaii Umeed Ki Khushi,,

Kuch Dilbaron K Saal Ki, Kuch Umeed Ki Khushi,,

Aesi Na Shab-E-Baraat Na Baqar Eid Ki Khushi,,

Jaisi Har Aik Dil Mein Hai Is Eid Ki Khushi,,

Koi To Mast Phirta Hai Jaam-E-Sharaab Se,,

Koi Pukaarta Hai K Chhuute Aazaab Se,,

Galla Kisi Ka Phula Hai Lad’du Ki Chaab Se,,

Chatkaarain Jee Main Bharte Hain Naan-O-Kabaab Se,,

Aesi Na Shab-E-Baraat Na Baqar Eid Ki Khushi,,

Jaisi Har Aik Dil Main Hai Is Eid Ki Khushi,,

Kaajal,Hina Ghazab Masti-O-Paan Ki Dhar’ri,,

Pishvaazain Surkh Sausani Laahi Ki Phuljhari,,

Kurti Kbhi Dikha Kbhi Angiya Kaisi Kari,,

Keh Eid Eid Lootain Hain Dil Ko GhaRi GhaRi,,

Aesi Na Shab-E-Baraat Na Baqar Eid Ki Khushi,,

Jaisi Hai Har Aik Dil Main Is Eid Ki Khushi…~*~/

..*’ H??rT StTLer ‘*..