Dyare ghair se kaise tuje sada dete

tu mil b jata tu akhir tuje ganwa dete,

Tumhe ne na sunaya hum ko apna gham warna

dua wo karte k asman hila dete,

hamen ye zuam raha k ab k wo pukaren ge

unhen ye zid thi k her baar hum sada dete,

Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki

k jis ko haal sunate usey rula dete,

Tume bhulana awal tu dastaras main na tha

jo ikhtyar hota bhi tu kya bhula dete,

Terkhayal ne koi jawab he na diya

mere khayal k anso rahe sada dete,

Samaaton main ta umar kosta he raha

wo kuch bhi na kehte hont tu hila dete.