Dupatta laal chunari kaa

lipat kar tujhse rehta hai

Meri pyasi nigaahon par

hameshaa hanstaa rehtaa hai

Kabhi udata hawaaon main

Simatta teri baahon main

Kabhi kaandhe pe bekaboo

Sarakta phirta rehta hai

Tere kaanon main kehta kuchh

Ya seene se laga rehtaa

Teri dhakan ko gin gin kar

Yeh uthta girta rehta hai

Kabhi teri kamar isski

Girafton main bandhi rehti

Kabhi yeh peeth par kaafir

Khisakta khinchtaa rehtaa hai

Kabhi paunchhe paseene ko

Kabhi dhakta hai soorat ko

Kabhi gaalon ko chhoota hai

Kabhi munh lag ke rehtaa hai

Kabhi kaaleen ban jaata

Kabhi godi main sota hai

Tere haathon ko sehlata

Satata mujhko rehtaa hai

Ise sar na chadhao tum

Dupatta hai mera dushman

Hamaare darmiyaan har waqt

Kyon yeh besharm rehta hai