Har Kisi Ki Ek Alag Kahani
Sabko Yaha Apni Manzil Hai Pani
Raaste Kafi Mushkil Hai
Thokar Khana Yaha Har Kisi Ko Hai
Q In Raho Mein Hum Kisi Se Mil Jate Hai?
Kabhi Pyar Kabhi Dost Woh Q Kehlate Hai?
Khushi Unko Bole Bina Chain Nahi Milta
Gammo Ko Unse Bate Bina Aaram Nahi Milta
Kaisa Hota Hai Yeh Rishta
Jo Hal Pal Hamare Sath Rehta
Phir Bhi Jab Ek Mod Zindagi Ka Aata
Dosto Ko Piche Chod Ke, Pyar Ko Chahata
Mushkil Kyu Hoti Hai Zindagi Itni
Dosto K Sath Jiyo Jitni, Phir Bhi Kam Lagti Hai Q Zindagi Utni
Har Naya Rasta Phirse Ek Naya Dost Layega
Humari Khushiyon Aur Dukho Ka Raazdar Kehlayega
Phir Hoga Ek Mod Jaisa
Chor Jayega Koi Dost Aisa
Zindagi Ka Yeh Ajeeb Khel Hai
Kabhi Akele Toh Kabhi Dosto Ka Meil Hai
Phir Bhi In Rishton Se Hai Ye Zindagi Suhani
Na Hote Dost Toh Hai Yeh Kitni Virani
Zindagi Ka Safar Yuhi Jiya Nahi Jata
Apne Gammo Ko Akele Piya Nahi Jata
Isiliye Sahara Hai Un Fariston Ka
Khel Kehte Hai Hum Jo Naseebo Ka
Nahi Ho Sakta Bhagwan Har Jagah
Iski Hai Shyd Yeh Wajah
Bheja Hai Apne Bandoko Dost Banakar
Jo Rakhe Hame Sar Akhon Par
Isiliye Raaston Pe Yeh Rishte Mil Jate Hai
Kabhi Dost Toh Kabhi Pyar Yeh Kehlate Hai
– Poornima Patne