Dosti ki bejod misaal ho tum
na hai koi kami lazabab ho tum.
nahi koi aisa meri “Dost” jaisa
doston mai dosti ki ek alag pahchan ho tum
tum se baat ho meri to sukoon milta hai
jab jaati ho arif ko kar jati bejaan ho tum.
Nahi karta mann tumse door hone ka ek pal
Mazbooriyon se ghiri bahut pareshan ho tum
Pyar to dekha hai zamane ka maine.
Dosti main muhabbat ki ek alag pahchaan ho tum
Tumhari dosti ne hi ek bejaan ko jaandar banaya
Girte hue dost ko sambhalna sikhaya.
Nahi chuka paunga kabhi dosti ka karz
Kitne pyar se nibhaya tumne dosti ka farz.
Girte hue haalat mai meri maddadgar ho tum
Dosti kya hoti hai is baat se bhi khabardaar ho tum.
-Arif Dana