Dil-e-naadan to mohabbat ki sada deta hai

Jise chaho to wohi shakhs dagha deta hai

Phir main us se kyun mohabbat ki tawaqqo rakhun

Jo har baat raqèebon ko bata deta hai

Tu agar bewafa ho to kya gham

Dil-e-naadan tujhe aur jeene ki dua deta hai

Tum samjhte ho k her shakhs na samajh hai

Waqt ustaad hai her baat sikha deta hai

Tum agar zakhm pe chirko ge namak

Waqt marham hai her cheez bhula deta hai.