Dhadkane jab aahat karne lagein,

Sansein jab shor karne lagein,

Nazrein jab nazron mein rukne lagein,

Saare alam ki hulchul thamne lagein,

Aisi bhi hoti hain Khamoshiyaan

Dil mein jab bekraari badhne lage,

Bin kahe sab samajh mein aane lage,

Saari dunya ki hosh jab khone lage,

Aisi bhi hoti hain Khamoshiyaan.

Koi apna jab door hone lage,

Kehne ko koi alfaaz na rahe,

Kuch hone ki umeed bhi mitne lage,

Aisi bhi hoti hain Khamoshiyaan.

Kisi swaal mein har jawab nagawaar hone lage,

Band ankhon se tasveer dikhne lage,

Nazrein jab ahista se seeli hone lage,

Aisi bhi hoti hain Khamoshiyaan.

Koi kisi ke liye hai jeeta.

Aur kisi ko khabbar hi nahi,

Ban ke hawa koi saansein hai deta,

Aur kisi ko kadar hi nahi.

Koi karke sajde kisi ke liye dua hai maangta,

Aur kisi ko asar nahi,

Chah kar bhi bata nahin sakta,

Aur zara sa bhi besabar nahi.

Bas samajhne ko reh jaye,

Ho kehne ko kuch nahi,

AISI BHI HOTI HAIN KHAMOSHIYAN. ………

KHAMOSHIYAN. ………