December Muje Raas Aata Nahi

Kai saal guzray

Kai saal beetay

Shab-o-roz ki gerdashon ka tasalsul

Dil-o-jaan main sansoon ki pertain ult’tay hue

Zalzlon ki tareh hanpta hai

Chatkhtay hue khawab

Aankhon ki nazuk raghain cheltay hain

Magr main her ik saal ki goad main jagti subh ko

Be-karan chahton se aati zindagi ki dua de ker

Ab tak wohi justjo ka safar ker raha hun

Guzrta hua saal jaise bi guzra

Magr saal k akhri din

Nihaet kathan hain

Mere milnay walo..!

Nae saal ki muskrati hui subh ger hath aae

To milna

K jatay hue saal ki sa’aton main

Ye bujta hua dil

Dharkta to hai

Muskrata nahi

December Muje Raas Aata Nahi