Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum,
Dur fizaon me kahi kho jayenge hum.
Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum,
jab zameen ko odh ke so jayenge hum…
2.Meri barbadi par tu koi malal na karna,
bhul jana mera khyal na karna,
hum teri khusi k liye kafan ODH lenge,
pr tu meri laash se koi sawal na karna…
3.Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti,
phulon ko baharon ki kami nahi hoti,
fir kyu hume yad karoge Aap,
Aap toh Aasman Ho aur
Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti.
4. Mana k kal hum akele reh gaye,
judai k aansu ankho se beh gaye,
rothe hue ko koun chup karayega,
jo chup karathe the wo hi aaj chup hogaye.!
5.Tamannao me Uljhaya Gaya hoon,
khilone de k behlaya gaya hoon,
Kafan me kyun na Jaun muh chupa k,
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon…
6. Aaj kareeb se guzar kr gayi hai,
Andaaz be nam kr gayi hai,
Maiyat pe meri ruk kr anjaan ban gayi hai,
poochthi hai logo se
ye kis ki maiyat sajayi gayi hai,
7.Rulane wale akhir hume rula denge,
zehar de k gehri neend sula denge,
fir b koi gam na hoga hume,
dard tho tab hoga jab app hame
sath chor ne ko kehenge…
8. Mouth k baad yaad aa raha hai koi,
Meri kabr se mitti utha raha hai koi,
Aye Khudha do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udaas ja raha hai koi…
9.Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga,
sache pyar ka b harzana hoga,
apne aankho se dekh lena Zalim,
teri “DOLI” se khubsurat mera “JANAZA” hoga….
10. Me duba tho kinare pe khadi thi dunia,
Hasne walo me mera mukadar b shamil tha,
Ro raha tho jo Janaze se lipat kar mere,
kaise keh dhoo k wahi mera katil tha!
11. Wo ayenge gar pr mere,
sun k mout ki kabr meri,
yaro zara kafan hata dena,
kamaskam deedar tho hoga myyat ko meri.
Dek k agar wo ro dhe tho utha dena,
agar kamosh rahe tho chera chupa dena,
humse agar wo krti hai mohabbt tho izhar wo karegi,
agar na kare izar tho beshrm ko dak k mar k hakaal dena..
Mohd Anwar