Hogi kabhi to ek din khushian bhi mere sath
Ye soch ke main sab kuch bhulata chala gaya
Ye shaam jo dhali to savera bhi aaye ga
Ye soch ke main khushian manata chala gaya
Sara jahan hai mera aur main hun is jahan ka
Bas dil se dil sabhi ka milata chala gaya
Kudrat ne kya dikhaya karamat zindagi me
Aashique bana ke mujh ko rulata chala gaya
Chaha tha batane ko dastan zindagi ka
Koi ro ro ke apni haalat sunata chala gaya
Mayekhane ja ke dekha rote huye logo ko
Hans hans ke yahi baat batata chala gaya
Mehfil bhi ajnabi thi har shakhs ki tarah
Ye soch ke main khud ko hansata chala gaya
(Navin kumar Nayan)