Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe–-teri bewafaai main…
`
Matt puch mere sabar ki inteha kaha tak hai?
tu sitam kar le,teri taqkat jaha tak hai,
wafa ki umeed jinhe hogi,unhe hogi,
humein toh dekhna hai,
tu zalim kaha tak hai?
`
Mayoos mat hona, yeh aik guna hota hai
Milta vahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez milhe humain, yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai..
`
Jan kar bhi tum mujhe jan na paye,
aaj tak tum mujhe pehchan na paye,
khud hi ki hai bewafai hum ne,
ta ki tujh pe koi ilzaam na aaye…
`
Jinki raahon mein humne bhichai the sitare;
Unse kehte hai harpal aansuon ke sahare;
Ho gaye hai saare shikwe kitne kinare;
Magar phir bhi kyun woh huwy na humare!
`
Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti…
`
Hum agar aapse mil nahi paatay
Aisa nahin kay aap humein yaad nahin aate
Mana ka jahaan kay sab rishtey nibahaye nahin jatey
Par jo bas jatay hai dil mein wo bhulaye nahin jatay..
`
Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bi Tadapne Ke Liye Zindagi De di ……
`
aaj ki raat mera darde mohabbat sun le,
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
aaj izhare khayalat ka mouqa de dy
ham tere shahir me aaye hai musafir ki tarah..
`
ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil
apni humsafar unka koi aur hota hai.
`