Zor Jabar Ke Gham Ban Gaye Zamane Ko
Aadmi Majbur Hai Kyun Ashk Tak Chupne Ko
Admi Zor Amal Karta Hai Kyun Zulm Dhane Ko
Itna Majbur Hai Insan Se Insan Door Jane Ko
Shauk Peene Ka Lahoon Ab Hai Numaya Kitna
Peeta Insan Lahoon Shauk Bas Nibhane Ko
Omar E Pakijah Bhi Badnaam Hui Jane Kaise
Shauk E Shab Subah Tak Ko Aam Hui
Bik Gayi Bazar E Bhukh O Hasad Pakizagi
Aur Masumiyat Bedam Kab Ki Nilam Hui
Tum Ko Shikayat Hai Mujh Se Ke Main Nibhata Nahi
Asgher Kaise Aqidat O Wafa Meri Pe Ilzam Hui
Tum Ko Hairat Hai Mere Inasan Tak Kehlane Pe
Tum Ko Hairat Hai Mere Khali Haath Jane Pe
Zindgi Jab Se Jee Raha Hoon Jaan Asman Ke Saye Main
Meri Insaniyat Hi Mujh Ko Bas Sawal Hui