Zindagi Ko Humne Bhi
Kareeb Se Dekha Hai
Jo Tumne Aaj Dekha Hai
Humne Pehle Se Isse Mehsoos Kiya Hai
Isiliye Samjha Rahi Hoon
Ki Laut Jaa
Na Dastak De Us Darwaaze Pe
Jo Andhere Se Bhara Hai
Isiliye Keh Rahi Hoon
Laut Jaa
Na Chal Us Rah Pe
Jahan Tere Khone Ke Alawaa
Kuch Bhi Nahi Bhara Hai
Koshish Meri Yehi Hai
Ki Tu Na Beh Jaaye Is Bahaav Mein
Koshish Meri Bas Yehi Hai
Ki Tu Sambhal Jaaye Is Toofan Mein
Jaante Hain Hum Kaisa Safar Hai Ye
Jaante Hain Hum Ki Kitne Kaante Hain Yahan Bhare
Bas Yehi Sochti Hoon
Ki Aisa Kya Hai Jisse Ho Jaaye
Teri Parshaniyan Kam,
Jisse Phir Laut Jaao
Apni Purani Zindagi Mein Tum