Zindagi Ke Shahar Me Kagazon Ka Dher Hai
Dil Ke Maaron Ka Basar Kagazon Se Hi To Hai
Likh Saken In Par Hi Ham Padh Sake Inko Hi Ham
Chahaton Ko Likh Diya Aansuon Ko Likh Diya
Phool Shabnam Mahtaab Sab Ko Hamne Likh Diya
Silsila Jaari Hai Aaj Ek Bas Kagaz Ke Saath
Zinda Koi Bhi Bashar Saath Ab Mere Nahi
Chahaten Aur Furqaten Sab Hi Is Pe Bah Chukin
Dil Ka Aaina Sa Hai Koi Sirf Kaagaz Nahi
Aur Ab Main Kya Kahun Ye Mujhe Pyare Bahut
Saare Sapne In Pe Maine Apne Phailae Bahut
In Ko Koi Phadna Na Inko Koi Phenkna
Sab Jagah Se Tang Hokaar Aae Ye Kagaz Pe Hain
Rang Inme Dekh Kar Bas Khil Si Jaatin Hun Kabhi
Aur Kabhi Mere Ye Kagaz Aansuon Se Bheegate
Saara Kuchh Apna Hai In Pe Ye Faqat Bas Main Hi Hun
Aaj Koi Zinda Bashar Na Main Bhi Bas Kagaz Hi Hun