Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
Lafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama Gaya
Jo Nukta Sochta Raha Main Tamam Omar
Lamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata Gaya
Yun Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar Ne
Bakhshi Qabooliat Dil-E-Be-Ikhteyaar Ne
Sunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar Ne
Woh Bandagi Ka Mujh Ko Saleeka Sikha Gaya
Us Ka Khayal Subha Hai Us Ka Khayal Shaam
Jaise Pila Gaya Woh Mujhe Chahaton Ka Jaam
Matla Bhi Us Ke Naam Hai Maqta Bhi Us Ke Naam
Deewaan-E-Shayri Mera Kuch Yun Saja Gaya
Yun Haath Ki Lakeer Hina Ban Ke Chah Gayi
Tasweer Us Ki Meri Haathaili Main Aa Gayi
Khushbu Qaba Se Sari Fiza Main Sama Gayi
Chashm-E-Ghazal Main Meri Kajal Laga Gaya
Kar Ke Mere Wajood Ko Makhmoor Le Gaya
Anjaan Raston Pe Mujhe Door Le Gaya
Madhoshiyon Main Ais Tarah Mashoor Le Gaya
Taza Ghamon Ki Raah Woh Mujh Ko Dikha Gaya
Woh Aik Asgher Sare Jahan Se Zara Juda
Omeed Meri Aas Meri Hausla Mera
Aiwan-E-Dil Main Aatish-E-Chahat Laga Gaya
Din Ka Sakoon Raat Ki Neendein Chura Gaya
Toofaan Jaise Shehar Main Aa Kar Guzar Gaya
Chu Kar Mere Badan Ko Sehar Mujh Pe Kar Gaya
Jis Ko Tapak Tapak Ke Sulaya Tha Aik Omar
Aikasgher Hi Chahaton Ke Woh Aarmaan Jaga Gaya
Har Shaamai Intezaar Sulagti Rahi Bahut
Roti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi Bahut
Khushbu-E- Gul Chaman Main Batakti Rahi Bahut
Deewangi Ki Aik Nayi Duniya Dikha Gaya
Be-Aasra Bhi Ho Ke Bahlna Qabool Hai
Shamma Ki Tarah Mujh Ko Pighalna Qabool Hai
Purkhar Raaston Pe Bhi Chalna Qabool Hai
Kaanton Ki Rahguzar Se Ulajhna Sikha Gaya
Yun Falsafa Hayat Ka Mujh Ko Bata Gaya
Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya