Yeh Tanhayi Yeh Barbadi Mera Hi Muqaddar Kyun
Kyun Mujh Se Meri Har Khushi Roothi
Kyun Yeh Udaasi Azaab-E-Jaan Ban Ke Tooti
Kyun Mere Hi Naseeb Main Yeh Kaali Siyaah Raatein Hain
Kyun Mayoosiyon Ki Soghaatein Hain
Kyun Aazmaayishon Main Ghira Hua Hoon Main
Kyun Sunsaan Rahon Main Khadha Hua Hoon Main
Kyun Yeh Baar Baar Kahi Se Roshni Nazar Aati Hai
Dodhta Hoon Jab Us Taraf Kyun Mujh Ko Thaka Kar Kho Jati Hai
Kyun Yeh Tanhaayi Ke Imtihaan Meri Zindagi Hain
Kyun Karabnaak Raaton Ke Azaab Meri Zindagi Hain
Kyun Mere Hi Safar Ke Har Modh Pe Kayi Raaste Hain
Kyun Yeh Sab Aik Saath Hi Mujhe Pukaarte Hain
Kyun Main Har Awaaz Pe Dodh Padhta Hoon
Aur Phir Us Hi Modh Pe Aa Girta Hoon
Kyun Yeh Musaafatain Mere Peron Ka Muqaddar Hain
Kyun Sooni Meri Hi Saari Reh Guzar Hain
Kyun Mujhe Manzil Ka Nishaan Nahi Milta
Kyun Mujhe Jeene Ka Armaan Nahi Milta
Kyun Main Bhattak Raha Hoon Tareek Raahon Main
Koi Kyun Nahi Chupa Leta Mujhe Apni Baahon Main
Kyun Mujhe Koi Pukaar Ke Chup Jata Hai
Kyun Meri Be Basi Pe Muskurata Hai Aakhir Kyun ?
Kyun Meri Taraf Badh Ke Lot Jata Hai
Kyun Phir Mujhe Kahi Aur Se Sada Sunayi Deti Hai
Kyun Kahi Aur Se Aik Kiran Dikhaayi Deti Hai
Yeh Saare Saraab Mera Hi Naseeb Kyun Aakhir Kiyun ?
Kyun Mere Jism Se Ab Talak Lipti Yeh Zeest Ki Zanjeer Hai
Kyun Mujhe Woh Maut Nahi Deta Jo Kaatib-E-Taqdeer Hai
Kyun Meri Hasti Ghamon Ke Samandar Main Doobti Hai
Kyun Meri Aankh Lahoo Ban Ke Rooti Hai
Kyun Mujhe Apna Hi Pata Nahi Milta Kyun Mujhe Rastaa Nahi Milta
Koi Mujhe Bata De Kab Tak Main
Apni Khushiyaan Khiraaj Main Deta Rahoon Ga
Kab Tak Main Armaanon Ki Chitaa Main Sulagta Rahoon Ga
Aakhir Kab Tak Main Manzilon Ka Nishaan Dhoondta Rahoon Ga
Kab Tak! Aakhir Kab Tak Roz Jeeta Roz Marta Rahoon Ga
Koi To Mere Sawalon Ka Jawab De De Koi To Ho
Koi To Meri Luti Hoyi Khushiyon Ka Hisaab De De
Kyun Aasmaan Se Mere Liye Koi Naveed Nahi Aati
Kyun Mujhe Nazar Koi Umeed Nahi Aati Kia Muflisi Hi Mera Jurm Hai
Kia Yeh Hi Wajah-E-Karb-O-Gham Hai
Kia Maal-O-Daulat Hi Khushiyon Ke Khareedaar Hain
Kia Aisi Se Saje Hoye Musarraton Ke Bazaar Hain
Kia Aisi Se Zindagi Main Sakoon Milta Hai
Kia Aisi Se Chahaton Ko Junoon Milta Hai
Kia Yeh Hi Hai Woh Sab Kuch Jo Kamyaab Zindagi Ki Nishaani Hai
Kiia Yeh Hi Hai Woh Chahat Jo Baaqi Reh Jaani Hai
Kia Yeh Hi Asal Kahani Hai Kia Yeh Hi Har Aik Dukh Ka Darmaan Hai
Kia Yeh Hi Manzil Ka Nishaan Hai Koi Mujhe Bata De
Khuda Ke Liye Koi To Bata De Yun Mujhe Bhataktaa Dekhte Rehte Ho
Kyun Sulagta Dekhte Rehte Ho Aakhir Tum Bhi To Jazbaat Rakhte Ho
Phir Kyun Mujhe Karb Main Mubtila Dekhte Rehte Ho
Bilkta Dekhte Ho Sisakta Dekhte Rehte Ho
Kyun Mere Haathon Ki Lakeeron Main Koi Naam Nahi
Kyun Meri Tammanaon Ko Kahi Aaraam Nahi
Kyun Mere Hi Khuwabon Ko Taabeer Nahi Milti
Kyun Meri Iltijaaon Ko Taaseer Nahi Milti
Kyun Meri Hi Rooh Pe Taaziaane Baraste Hain
Kyun Meri Hasraton Ke Chiraagh Muheeb Saayon Main Dhalte Hain
Zabt Kho Chuka Main Bahut Jee Chuka Main Haath Jodhe Khadha Hoon
Meri Zaat Pe Faqat Itna Karam Kar Do
Sirf Aik Baar Bas Aik Baar Mujh Pe Reham Kar Do
Mujhe Meri Qabar Ka Pata Bata Do