Yeh Mohabbat Kabhi Kaisi Ummeed Jagaati Hain,
Kisi Bhi Ajnabii Ko Apni Galiyo Mein Basaati Hain,
Ek Talab Banii Unki Awaaz Ab Mere Kaano Ki Liye,
Kabhi Issey Milti Hain Khushi Toh Kabhi Rulaati Hain,

Khud Ba Khud Shuru Ho Jaata Hain Safar Khushi Se,
Kuch Door Chaltey He Kayi Mushkile Dikhaati Hain,
Zamaaney Ki Buraayi Ne Unke Dil Koh Bigaad Diya,
Mohabbat Pe Yakeen Nahi Woh Aisa Bataati Hain,
Be_fikr Hokar Sotey They Hum Jab Yeh Dard Na Tha,
Aaj Unki Kahi Baatein Meri Neendey Udaati Hain,
Apnii Zindagi Ka Koi Mathlab Nahi Tha Pehele,
Sirf Unke Liye Nahi Jaate Jab Maut Bhi Bulaati Hain,
Socha Tha Ki Bataaney Ki Zaroorat He Nahi Padegi,
Main Diya Jalaata Hoon Kismat Usey Bujaati Hain,
Badnaami Ka Dar Hain Unhe Humse Rishta Rakhney,
Ghalati Unki Nahi “Saqib” Ki Woh Aaj Door Jaati Hain,
Kamzor Ho Gaya Hoon Unse Baat Karne Ke Baadh,
Unki Kuch Baato Seh Saansey Bandh Ho Jaati Hain,
Woh Aaj Kehte Hain Ki Main Aaj Usey Bhulaa Duun,
Woh Jitna Hume Bhulaaye Utna He Yaad Aati Hain,