Yahan Charo Taraf Kagaz Hain Bikhre
Ki Sochen Unpar Din Bhar Kheltin Hain
Kabhi Hansatin Hain To Kabhi Jhagadati Hain
Kabhi Main Laakh Chahun Pas Na Aatin
Mujhe Kuchh Door Se Hain Munh Chidhati
Ye Mujhko Chain Se Rehne Na Detinye
Ye Kaisi Mushkilon Me Aa Phansi Hun
Ki Ek Kashmakash Si Char Su Hai
Vo Ik Hansati Si Soch Ko Jo Likh Dun
To Vo Roi Si Bas Hai Rooth Jaati
Jo Us Roi Si Ko Jaaun Manane
To Vo Ik Chulbuli Hai Munh Chidhati
Ye Sochen Ki Ya Ki Hain Ye Dushman
Koi Inko Hata Bhi Le Yahan Se
Ki Main Insab Se Tang Ab Aa Chuki Hun
Ye Mujhko Chain Se Jeene Na Detin
Magar Ik Baat Hai Tuko Bataun
Ki Tum Ho Mere Apne Isliye Hi
Main Tumse Kah Rahi Hun Raz Rakhna
Ki Main Inke Bina Kuchh Bhi Nahi Hun
Jo Inko Hata Do Door Mujhse
To Main Goongi Si Ho Jaaungi Sach
Ki Mujhko Aati Hai Sirf Inki Bhasha
Ye Baqi Duniya Hai Bas Ik Tamasha
Mera Jo Kuchh Bhi Hai Bas Shayri Hai
Ki Yehi Bas Ab Meri Bandagi Hai
Khuda Sajda Mera Qubool Karna
Meri Is Soch Ko Mqbool Karna