Yaar Ban Gaya Gar Raqeeb Toh Kya Kare,
Hazaaron Mein Hum Be-Naseeb Toh Kya Kare,
Sholaa-E-Barq Se Jal Gaya Aashiyaana Mera,
Fasaana Yeh Banaa Gar Ajeeb Toh Kya Kare,

Hain Khabar Humey Ki Yeh Mumkin Nahi,
Magar Yeh Dil-E-Hasarat-Nasiib Toh Kya Kare,
(Dil-E-Hasarat-Nasiib=heart Filled With Desires)
Be_dil Be_emaan Hume Kahaa Zamaaney Ne,
Wo.H Ban Gaya Gar Habeeb Toh Kya Kare
Bhuul Se Aaye Teri Mehfil Mein Bulaave Par,
Bazm-E-Khirad Mein Hum He Ghareeb Toh Kya Kare,
(Bazm-E-Khirad=gathering Of Intelligent People)
Log Kahe Ki Wo.H Tumhe Roz Dikhey -ŗsaqib-
Mera Marqad Unke Ghar Ke Khareeb Toh Kya Kare.
(Marqad=tomb, Mazaar)