Wo Pehli Nazar Wo Manzar Na Ayega Kabhi
Yunhi Kho Jata Hun Yadon Main Kabhi
Na Khwabon Main Koi Chehra Na Khuli Nigah Main
Nasha Hi Aisa Tha Uski Ankhon Main Kabhi

Wo Muskura Kar Uska Nigah Ko Jhukana
Na Dekha Aisa Koi Maine Pehle Kabhi
Batain Uski Aisi Ke Sunta Rahun Sada
Is Umeed Par Zinda Tha Shayed Main Kabhi
Hathon Main Aisi Narmi Keh Pigal Jaye Koi
Ab Bhi Dil Chahta Hai Pigal Janey Ko Kabhi
Na Koi Vade Kie Na Koi Qasmain Leen
Itna Yaqeen Tha Us Par Mujhko Bhi Kabhi
Palat Kar Bhi Na Dekha Jatey Hue Mujhe
Yehi Sawal Aksar Khud Se Karta Hun Main Kabhi
Dil Torney Ka Haq To Sirf Uska Hi Tha
Tukrey Yeh Dil Keh Ab Bhi Ginta Hun Main Kabhi
Rokna Chaha To In Ankhon Ne Buhat
Ankhon Main Nami Na Who Samajh Saki Kabhi
Shikwa Un Se Nahin Khud Se Hai Mujhe
Kyun Khoya Uski Ankhon Main Kabhi