Wahi Toote Makaan,
Wahi Chatt Se Girti Badhaali,
Wahin Aankhon Mein Palti Laachari,
Kahin Jeb Ko Talaashti Hui Gareebi,
Wahi Choolhey Mein Khaali Bartan Per
Maayusi Ko Pakaati Hui Boodi Hatheliyan.
Qaid Hota Hua Woh Natkhat Bachpan
Lakeeron Ko Mitaati Kunwaari Dulhan.
Khaali Pet Bharney Ki Khaatir
Pattharon Ko Todtaa Hua Ghayal Kanddhaa,
Kaale Aakaash Ko Laal Zameen Se
Jortaa Hua Woh Shaatir Kinaara.
Kya Yeh Jazbaat
Aaj Itney Sastey Ho Gaya Hain
Jinhe Dekhkar Sab Dua Kartey Hain
Inki Khushaali Ki, Laut-Tee Haryali Ki.
Ya Mehney Ho Chale Hain Itney
Ki Ek Patta Bhi Nahin Ugh Paata Hai
Inki Jarjar Sookhti Hui Ddhara Per.
Khaamoshi Liye Hue Inke Honth
Nami Failaati Inki Aankhey.
Garm Tapish Ki Lehron Ne
Sukha Daale Hain Inke Kantth.
Khaali Ho Chala Hai Ab
Inka Sikurta Hua Woh Majboot Badan.
Inki Bhook Bhatakney Lagi Hai
Har Deewaar Se Lipatkar.
Neerashta Aagayi Hai Ab
Inke Har Kadam Per.
Magar!, Inki Bas Ek Karhaahat
Aaj Masaala Bangayi Hai
Patrkaaron Ki Larkharaati Hui
Bejaan Kalam Ka.
Jahan Bas Bhar Diye Jaate Hain
Kagazon Ke Khaali Koney.