Waheen Pe Daaman Ulajh Rahaa Hai, Jahaan Se Daaman Chhuraa Rahe Hain!
Chale The Jis Dar Se Bekhudee Mein, Usee Ko Phir Khat-Khataa Rahe Hain,
Simat Ke Chaadar Mein Sone Waale Yun Paaon Phailaate Jaa Rahe Hain!
Zaraa Si Aamad Barhee To Apnee Zarooraton Ko Barhaa Rahe Hain!
Tiree Hi Baa.Ntee, Diyaa Bhi Teraa, Tire Hi Dam Se Ye Raushanii Hai!
Tiree Hifaazat Mein Zindagee Ke Chiraagh Sab Jhilmilaa Rahe Hain!
Ye Kiski Zulfon Se Chupke Chupke Nikal Ke Shab Muskuraa Rahee Hai,
Ye Haar, Ye Baaliyaan Hain Kiski,Jo Aasamaan Ko Sajaa Rahe Hain!
Barhaa Ke Raftaar Zindagee Kee, Na Jaane Kyaa Kar Liyaa Hai Haasil,
Junoon E Manzil Mein Kisliye Ham, Sukoon E Hastee Gavaa Rahe Hain!
Woh Lamhe Jo Kal Talak Miree Zindagee Ko Bad’tar Banaa Rahe The,
Khyaalon Mein Aaj Aa Gaye To,Labon Pe Muskaan Laa Rahe Hain!
Na Mehfilen Hain, Na Sun’ne Waale, Na Ab Rahee Woh Sukhan-Nawaazee!
Wo Sher O Naghme,Ghazal Taraane, Kitaab Mein Chhat-Pataa Rahe Hain!