Uski Bhooli Adayen Mujhe Jab Yaad Ati Hain,
Mujhe Yeh Mehsoos Hota Hay Kahi Mujhe Piyar Tu Nahi Howa,
Uski Woh Narazagi Mere Dil Ko Machlati Hay,
Uski Woh Shakasiat Mere Jazbaat Ko Tarpati Hay,
Uski Hontoon Ki Muskan Se Mera Dil Khil Uthta Hay,
Uski Woh Jalan Jab Mujhe Yaad Ati Hay,
Mujhe Meri Qismat Per Kabhi Fakhar Kabhi Nidamaat Mehsoos Hoti Hay,
Jab Bhi Main Apni Ankhain Bund Kardeta Hoon,
Uska Chehra Meri Shakhsaiyat Pe Gaalib Aajat Hay,
Mera Us Se Baat Karnay Ko Dil Chahta Hay
Uskay Qareeb Aanay Ko Dil Chahta Hay….
Kia Yeh Aag Sirf Mujhe Hi Mehsoos Hoti Hay?
Yeh Ek Sawal Hay Jiska Jawaab Main Jannay K Lye Baychain Hoon,
Kaash Khuda Karay Yeh Aag Yaktarfa Na Ho,
Kyon K Yeh Jawaab Meri Shikast Ka Elaan Karay Ga
Aur Mujhe Pachtaway Ka Ehsaas Dilaaye Ga…
Jiskay Baad Meri Zindagi Baymaqsad Si Lagay Gi…..
Kiya Piyar Issi Ko Kehtay Hain?
Agar Woh Mujhe Mil Gayi,
Tu Main Usay Palkoon Pe Bithaaonga
Main Uskay Lye Duniya Jahan Ki Khushiyan Samaitoonga
Main Usko Gamoo`n K Dariya Se Bachanay K Lye,
Apni Khushiyoon K Samandar Ko Uski Rahaon Mein Bikhair Doonga
Uska Roona Mere Lye Azaab Se Kum Na Hoga,
Abhi Usay Mein Rotay Dekh Ker Kuch Nahi Kar Pata
Kyon K Abhi Woh Mere Qareeb Honay K Bawajood,
Mujh Se Bohat Daur Hay…….Aur
Main Jitna Is Faslay Ko Kum Karnay Ki Koshish Karta Hoon,
Ek Anjana Sa Khauf Mujhe Us Se Aur Daur Le Jata Hay
Kaash Woh Mere Is Khauf Ko Pehachnay
Aur Isko Hul Karnay Mein Mera Saath De
Kyon K Agar Zindagi Ka Safar Yohi Chalta Raha
Tu Hosakta Hay Yehi Khauf…..
Meri Maut Ka Sabab Ban Jaaye……..