Us Ki Aankhon Main Pyaar Ki Jhalak Na Thi
Par Mere Dil Main Dard Bhara Bahut Tha
Us Ke Dil Main Shayad Raham Tak Na Tha
Magar Mere Dil Main Be Panah Pyaar Tha
Us Ki Aankhon Main Aik Sharam Si Nazar Aati Hai
Jab Bhi Us Ki Tasweer Mere Aankhon Main Ban Jati Hai
Dil Ki Dhadkan Kam Ho Jati Hai
Jab Bhi Us Ki Yaad Mujhe Aati Hai
Us Ne Kaisi Ki Khatir Mujhe To Chod Diya
Magar Koi Ais Dil Na Tode Yeh Dua Dil Main Aati Hai Mere
Jee Chahta Hai Khoob Bura Bhala Kahoon Main Us Se
Phir Dil Main Aik Naram Gosha Phir Se Ubhar Aata Hai
Us Ki Judai Ka Itna Gham Hai Mujhe Ke Kia Kahoon
Jee Chahe Hazar Galiyan Doon Par Lab- E- Keh Na Sakoon
Us Ko Khoob Bura Bhala Main Kahoon
Lakin Doosron Se Us Ki Buraai Sehne Nahi Aati Hai
Din Ko Chen Raat Ko Neend Nahi Aati
Us Ki Tasweer Khayalon Se Hatane Nahi Aati
Us Ki Judai Main Dil Ko Tasalli Dene Nahi Aati
Kaisi Ki Tasalli Dene Par Neend Tak Nahi Aati
Jane Hua Kia Hai Mujhe Yeh Mere Samajh Nahi Aati
Yeh Ishq Bhi Ajab Funda Hai
Lakin Main Ne Dost Mana Tha Us Se
Phir Us Se Ishq Hua Kaisi Aur Se
Aur Us Ne Samjha Ke Mujhe Pyaar Hai Us Se
Us Ki Hansi Jab Bhi Tasweer Main Dekhti Hai
Dil Ki Dhadkan Phir Chalne Si Lagti Hai
Us Ki Hansi Aik Omeed Ki Kiran Si Lagti
Ab Tu Us Ki Tasweer Ko Bhulana Chahta Hoon
Phir Aik Omeed Ki Kiran Se Yaad Aati Hai Mujhe
Jane Kab Kaise Main Shayar Ban Gaya
Magar Us Ke Bare Main Likhne Main Aik Sakoon Aata Hai Mujhe