Uqoobat-E-Aalam Mein Nahi Pyaar Banaa,
Sitamgar Nahi Ab Main Kisi Ka Yaar Banaa,
(Uqoobat-E-Aalam=painful World, Sitamgar=oppressor)
Woh Har Khadam They Joh Hasrath-E-Gham,
Woh Kehta Hain Ki Woh Madatgaar Banaa,
(Hasrath-E-Gham=desiring Sorrow)
Kehtaa Hain Humko Apni Jaaan Magar,
Qaata-E-’Amaar Woh Baar Baar Banaa,
(Qaata-E-’Amaar=killers)
Rukaaye Ruk Nahi Paati Thi Yeh Mohabbat Meri,
Jazbaa-E-Dil Se Mera Girebaan Daaghdaar Banaa,
(Jazbaa-E-Dil=emotions, Girebaan=collar, Daaghdaar=dirty)
Woh Jaate They Apne Aalam Mein Karke Waada,
Waada Unka Ab Saari Zindagi Ka Intezaar Banaa,
Badghumaani Unki Thi Ek Badh_khoo Aisi,
Aethbaar K Unka Yeh Dil Bohot Talabgaar Banaa,
(Badghumaani=bad Suspicion, Badh_khoo=bad Habbit)
Woh Hume Kabhi Na Keheta Ikraar-E-Mohabbat,
Khoonnaaba_fishaan-E-Naama-E-Dildaar Banaa,
(Khoonnaaba_fishaan=blood Tears, Naama-E-Dilaar=love Letter)
Abh Unki Raaho Mein Meri Hayaat Mumkin Nahi,
Mere Mazaar Ka Pataa Ab Koo-E-Yaar Banaa,
(Koo-E-Yaar=lover’s Street, Yaar Ki Gali)