Un Rumaani Lamhon Ki Main Daastaan Sunaaoun Kaise
Kuch Hassi, Kuch Muskuraahat Chehre Par Sajaauon Kaise
Kehte Hain Aankhon Mein Meri Se Chalakti Thi Muskaan
Gar Tu Ab Nahin, Toh Aankhon Se Muskuraaoun Kaise

Baarish Mein Tere Honton Ko Choomna Ab Bhi Yaad Hai
Tere Honton Ki Narmi Ko Main Bhulaaoun Kaise
Jataaya Tha Bahut Khushi Se Tujhpar Pyaar
Ab Pyaar Barsaaoun, Toh Kisi Aur Par Barsaaoun Kaise
Ab Toh Ajnabiyon Ki Taraha Milte Hain Hum
Milna Chahti Hoon, Par Gale Main Lagaaoun Kaise
Rona Chahti Hoon Main, Par Aansu Bhi Mujhse Naraaz Hain
Manaaoun, Toh Bina Bulaaye Manaaoun Kaise
Jaanti Hoon Waqt Aa Gaya Hai Tujhse Judaa Hone Ka
Par Tujhe Ik Choti Si, Maamuli Si Kahaani Banaaoun Kaise
Zindagi Ke Haseen Lamhe Bitaaye Tha Tere Saath
Un Palon Ko Bhulaaoun Bhi Toh Bhulaaoun Kaise