Tu Bewafa Niklegi Socha Nahi Tha,
Iss Kadar De Jaayegi Dhoka Socha Nahi Tha,
Nahi Chahti Thi Mujhe To Keh Deti Mujhse,
Iss Tarah Chodd Degi Tanha Socha Nahi Tha…
Jis Se Roshan Thi Zindagi Meri,
Aaj Bhujha Diya Tune Woh Diya,
Maangti To Jaan Bhi De Deta Mein Apni,
Tune Kyun Iss Tarah Se Use Cheen Liya…
Mujhko Yoon Tanha Chodne Se Pehle Socha Bhi Nahi,
Tujhe Kya Pata Ki Bin Tere Mera Kya Haal Hai,
Kya Kami Thi Bata Mere Pyaar Mein,
Aaj De Jawab Ki Bas Mera Yahi Sawaal Hai…
Apna Haal-E-Dil Bhi Mein Kissi Se Kehta Nahi,
Ab To Dukh Sehne Ki Mujh Ko Aadat Si Ho Gayi Hai,
Kabhi Nek Raahon Se Hota Tha Guzarna Mera,
Dekh Aaj Usi Jas Ki Sharafat Bhi Kho Gayi Hai…
Aaj Seekha Hai Ik Sabak Zindagi Si Maine,
Jo Tune Sikhaya Woh Thoda Ajeeb Tha,
Maine Maana Tha Tujhko Sab Kuch Apna,
Bas Mein Hi Na Kabhi Tere Kareeb Tha…
Teri Bewafayi Per Nahi Yakeen Aaj Bhi,
Kya Kahoon Ki Pyaar Aaj Bhi Mere Dil Mein Hai,
Ab Kissi Daawat Mein Bhi Jaata Main Nahi,
Lagta Hai Jaise Ki Jas Tanha Bhari Mehfil Mein Hai…
Tere Jaane Ke Baad Ker Diya Peena Shuru Maine,
Ab Guzar Jaati Hai Shaam Meri Maikhane Mein,
Kuch Yaad Nahi Rehta Mujhko Peene Ke Baad,
Bhool Jaata Hoon Gum Jo Daba Rakhe Hain Dil Ke Taikhane Mein…
Ab Kar Li Hai Tauba Maine Pyaar Se,
Ki Dukh Or Bhi Hain Sehne Ke Liye Zamane Mein,
Pehle Pyaar Ki Yaad Mein Dooba Rehta Hoon,
Shayad Guzar Jaayega Yeh Janam Use Bhulaane Mein…