Tiree Aankh Khulne Se Pehle Chalaa Hun,
Chalaa Hun Main Yeh Raat Dhalne Se Pehle!
Main Patton Se Thoree See Shabnam Jamaa Kar,
Main Sooraj Kee Pehlee Kiran Ko Churaa Kar!

Kisee Phool Kee Khil-Khilaatee Hansee Ko,
Kisee Khet Kee Lah-Lahaatee Chhavii Ko!
Zaraa Apnii Aankhon Kee Dib’yaa Mein Bhar Lun,
Main Palakon Ke Peechhe Inhen Qaid Kar Lun!
Chahakte Hue Panchhiyon Kee Sadaayein,
Thumaktii Huii Hirniyon Kee Adaayein!
Mile Dhoop Mein Koii Ambiyaa Ki Chhaayaa,
Yah Mil Jaayein Thandii Si Nadiyaa Ki Dhaaraa!
Agar Shaam Ko Laal Ho Jaayein Ambar,
Uchhal Kar Zaraa Saa Woh Sindoor Lekar!
Isee Aashiyaane Mein Chandaa Nikalte,
Main Aa Jaaungaa Laut Kar Shaam Dhalte!
Tiree Aankh Lagne Se Pehle Ye Pyaare,
Yeh Kudrat Ke Saare Ke Saare Nazaare!
Tire Khwaab Kaa Sheh’r In Se Sajaa Ke,
Tiree Raat Ke Ghar Ki Rangat Badhaa Ke!
Takungaa Tire Chehre Ko Raat Bhar Mein,
Tiree Neend Kee Paasbaanii Karungaa!
Yahee Soch Kar Aaj Ghar Se Chalaa Hun,
Chalaa Hun Tiree Aankh Khulne Se Pehle!