Teri Mohabbat To Dekh Li, Ab Teri Nafrat Ko Aazmayenge,
Chahege To Tujhe Umra Bhar, Woh To Kabhi Kam Na Kar Payenge,
Aah Darte Hain Woh Ruswaayi Se, Unki Nafrat Ko Ruswa Hum Kar Jayenge,
Ek Shaam Woh Bahut Royenge, Hum Unhe Bahut Yaad Aayenge,

Tab Hum Kahin Door Baithe Unhe Dekh Muskuruayenge,
Kar Na Sake Hum Dimaage Se “Mohabbat”,
Yeh Baat Unhe Samajhayenge,
Woh Royenge, Pachtayenge,
Par Hum Laut Ke Naa Aayenge,
Ban Gayi Hai Ek Baddua Yeh Zindagi-E-Musarrat,
Shaayad Maut Se Ise Hi Hum Dho Paayenge,
Bewakuf The Hum Jo Yakeen Kiya Unki Mohabbat Par,
Yakeen To Ab Hum Unhe Dilaayenge,
Wada Karte Hain Doston, Kisiko Bahut Yaad Aayenge,

Aaj Daraate Hain Woh Humein Khauf-E-Duniya Se,
Humne To Kaha Tha Ki Jannat Chhod Aayenge,
Aye Khuda Dekhenge Tera Insaaf,
Kya Is Bewakufi Ki Sazaa Hum Wahan Bhi Paayenge?
Wada Karte Hain Hum, Kisisko Bahut Yaad Aayenge,
Aaj Hain Kaan Sabke Band,
Kal Hum Cheekh Cheekh Kar Khulwayenge,
Dete Hain Woh Humein Baddua, Apne Aanchal-E-Pak Ki Duhaai Dekar,
Hum Unki Zindagi Me Sirf Ek Baar Aayenge, Aur Bina Ruke Chale Jaayenge,
Wada Karte Hain Duniya, Kisiko Bahut Yaad Aayenge,
Woh Yaad Kar Pachtaayenge,
Aaj Hum Tadpe Hain, Kal Hum Unhe Tadpaayenge,
Khuda Ki Kasam, Hum Bahut Yaad Aayenge,
Woh Samajh Na Paaye Humaari Mohabbat Ko,
Yeh Baat Unhe Samajhaayenge,
Aur Unke Paak Aanchal Par Yeh Gunaah-E-Zindagi Chhod Jayenge,
Din-E-Kayamat Par Unke Ghamon Ke Khazaane Ke Sath Humaare Gunaahon Ki Numaayish Hogi,
Aur Hamesha Ki Tarah, Humaari Sirf Insaaf Ki Farmaayish Hogi,
Lafzon Se Na Hum Kabhi Jeete The, Na Kabhi Jeetenge,
Us Din Hum Insaaf Zarur Jeet Jayenge,
Wada Karte Hain Hum Doston, Hum Kisiko Bahut Yaad Aayenge.