Teri Chahat Aur Zamane Ki Rivayat, Us Raah Ke Do Kinare The,
Na Laut Sake Na Manzil Pa Sake, Hum To Be-Vajaha Chale Ja Rahe The………
Na Tanai Ka Afsos, Na Manzil Ki Parvaha,
Hum To Saye Ko Bhi Khud Se Juda Kiye Ja Rahe The……….
Tapish Se Kinara Karte Bhi Kaise, Chalo Ka Dard Dikhate Bhi Kaise,
Hum To Zamane Ke Usulo Ka Bozh Khusi Se Sahe Ja Rahe The……..
Chahat Me Teri Ye Kaisa Nasha Tha,
Ishk Ko Khuda Maan Teri Khudai Ki Ibaadad Kiye Ja Rahe The……..
Tere Lautne Ke Vade Par Bharosa U Kiya Humne
Tere Didaar Ki Umeed Par Har Saas Aakhari Liye Ja Rahe The……….