Tere Shehar Ki Barsat Ki Wo Raat Mujhe Ajj Bhi Yaad Hain …
Jab Havaye Badi Tez Thi Tum To Kehti Thi Ki Wo Zalad Hi Tham Jayegi ..Lekin ..”
” Lekin Wo Ajj Tak Thami Nahi Tum To Kehti Thi Ki Ous Barsat Ke Baad Niklega Teri Wafao Ka Suraj
Lekin Ous Suraj Ki Pehli Kiran Ko Ajj Bhi Apni Ankho Main Samane Ko Main Betab Hu ..”
“Ous Barsat Ki Kuch Bunde Tere Ghar Ke Shisho Par Bhi Giri Hongi Jinhe Bachane Ke Liye Tune Mujhe
Bhigne Diya Wo Bunde Abb Tere Wado Ki Tarha Dikhti To Nahi Hongi Lekin Ounke Nisha Tujhe Ajj Bhi Ous
Barsat Ki Yaad To Dilate Honge”
” Wo Barsat Mera Bohut Kuch Apne Sath Baha Le Geyi Kuch Tere Khat Kuch Mere Ankehe Pegam Bhi Ous
Selab Main Shamil The Tum To Kehti Thi Ki Tere Shehar Main Ajnabiyo Se Milne Ka Dastur Nahi Fir Har Koe
Kiou Tere Siva Mujhe Apna Sa Laga”
” Tere Shehar Ki Barsat Ki Wo Raat Jab Bhi Mujhe Yaad Ati Hain Meri Kalam Ka Ek Hisa Ban
Kagaz Par Baras Jati Hain “