Tanha Tanha Sa Khud Ko Paaya Hai
Tu Mujhe Waqt Be Waqt Yaad Aaya Hai
Ye Kis Raah Pe Chal Pade Hai Kadam
Na Koi Basti Hai Na Koi Sarmaya Hai
Mod Aaye Kayi Rah – E – Ziist Mein Lekin
Har Gaam Pe Teri Furkat Ne Bada Rulaya Hai
Khaufzada Paya Khud Ko Ghar Mein Jab Kabhi
Apni Parchayi Se Dil -E – Nadaan Ko Behlaya Hai
Juki Huwi In Nazro Ko Kaise Uthaye Kamsin
In Palko Ke Piche Humne Apne Maazi Ko Basaya Hai