Sunane Baithe Hum Apni Daastan Aansuon Ko Unko Samjhane Ke Liye,
Jo Shaam-O-Seher Aa Jaate The Hamein Satane Ke Liye,
Majboor To Hum The Apne Aansu Kisiko Dikha Na Sake,
Jisne Di Thi Ye Saugatein, Kaun Jaaye Inki Kahani Sunane Ke Liye,
Yehi To Bas Bache Hai Meri Bebas Rooh Ki Tijori Mein,
Kisike Tohfe Hai Ye Daulat Kyon Baith Jaaye Use Lutane Ke Liye,
Kaha Humne Aansuon Se Yun Na Baar Baar Chhalak Jaaya Karo,
Jab Ye Daulat Bhi Lutt Jaayegi To Kya Bachega Jeene Ke Liye,
Yun Na Har Pal Hamein Badnaam Kiya Karo Bheed Mein Ruswa Karne,
Dhundna Padta Hai Hamein Koi Kona Apni Aankhein Pochhne Ke Liye,
Baha To Hai Tu Meri Aankh Se Dil Ki Banjar Zameen Ki Taraf Lekin,
Teri Thandak Bhi Na Ab Kaam Aayegi Zakhmon Ki Aag Bujhane Ke Liye,
Jale Pade Hai Dil Mein Armaan Mere Khwabon Ko Gale Lagakar,
Tera Ek Bhi Qatra Kaam Na Aayega Khwabon Ki Raakh Bhigone Ke Liye,
Kuch Khwahishon Ka Janaza Hai Leta Hua Mere Chahat Ki Sej Par,
Shayad Us Janaze Ke Tu Kaam Aa Jaye, Aakhri Vuzu Karne Ke Liye,
Gar Dil Tak Aake Khatam Na Hua Tera Ye Anjaan Safar, To Ye Hoga,
Sama Jaayega Dharti Mein Bewafaon Ke Pairon Tale Kuchalne Ke Liye,
Kisike Maathe Pe Na Shikan Tak Aayegi Teri Ye Barbaadi Ki,
To Kyon Jaa Raha Hai Khud Apne Hi Maut Ka Saman Banne Ke Liye,
Isse Behtar Hai Sukoon Se Rahe Tu Meri Aankhon Ki Panahon Mein,
Yehi Bas Ek Jagah Bachi Hai Tere Jeene Aur Marne Ke Liye,
Jaanti Hoon Tere Muqaddar Mein Hai Yun Hi Fanaa Ho Jaana,
Par Kuch Der To Ruk Jaa Meri Tanhayion Ka Saathi Banne Ke Liye,
Meri Daastan Sunke Ek Thaka Hua Aansu Bol Pada Mujhse,
Aye Deewani Hoon To Main Bas Dard Ko Kam Karne Ke Liye,
Yun Jo Mujhe Samaye Rakhegi Apni Aankhon Ki Panahon Mein,
Sukh Jaunga Kisi Din, Aur Sama Jaunga Dilme Dard Banke Hamesha Ke Liye,
Mat Rok Mujhe Behne Se Ke Ab In Aankhon Mein Thak Sa Gaya Hoon,
Bahut Ho Chuka Ab Jaane De Mujhe Tera Dard Kam Karne Ke Liye,
Dil Tak Pahucha To Dilki Banjar Zameen Ko Kuch To Bhigo Sakunga,
Jaane Kabse Wo Dharti Pyaasi Hai, Tarasti Hai Ek Boond Aansu Ke Liye,
Sama Jo Gaya Dharti Mein To Tera Sanam Kabhi To Mujh Pe Se Guzrega,
Zindagi Bhar To Tu Tarasti Rahi Usko Dekhne, Usko Chhune Ke Liye,
In Aankhon Mein Toote Khwabon Ki Kirchiyaan Mujhe Chubhne Lagi Hai,
Jo Kabhi Dekhe The Sanam Baahon Mein Zindagi Guzaarne Ke Liye,
Thak Sa Gaya Hoon Is Aansuon Ke Shaant Samundar Se Bhi,
Jo Tune Rok Rakha Hai Tune Aankhon Mein Yunhi Sukhne Ke Liye,
Sun Ke Uski Ye Baatein Dil Mera Kuch Aur Tadap Sa Gaya,
De Di Ijaazat Maine Usko Aankhon Se Alwida Kehke Behne Ke Liye,
Kaha Maine Sun Aisa Karna, Agar Tu Chhu Sake Uske Qadmon Ko,
Choom Lena, Kehna Ye Hai Aakhri Nazrana Meri Wafa Ke Liye,
Ye Sunke Aansu Kuch Yun Bebasi Se Chhuta Meri Palkon Ke Kinaron Se,
Mehsoos Hua Uska Dard, Jab Jaa Raha Tha Wo Bhi Apne Aakhri Safar Ke Liye,
Alwida Kehke Jo Rukhsat Hua Meri Aankhon Ke Aashiyane Se Wo,
Kaha Usne Is Ghar Ko Aansuon Se Khali Kar Dena Jaldi Se Khuda Ke Liye…