Suhaani Raat Hai Aur Mausam-E-Tanhaayi,
Zindagi Udaasi Ke Bhavar Me Hai Ghir Aayi;
Maar Dale Na Kahin Ye Dard-E-Judai Mujhe,
Ab Toh Aaja Ke Mere Jaan Pe Hai Ban Aayi;
Utre Utre Nazar Aate Hain Phulon Ke Chehre,
Tere Jane Se Hai Gulon Par Khizaa Chaayi;
Jisne Barbad Mohabbat Me Kiya Tha Kal Tak,
Wo Ankhein Bhi Aaj Mere Haal Pe Sharmayi;
Tha Sahara Jin Charaagon Ka Ab Tak Mujhko
Meine Aaj Woh Har Shamaah Hai Bujhaayi;
Jis Mod Pe Veerana Hi Nazar Ata Hai Mujhe,
Zindagi Us Mod Pe Ab Farhana Ko Le Aayi.