Suhaag Raatain Theen
Gulaab Sa’atain Theen
Sahaab Baatain Theen
Qadam Qadam Khushi Chun Rahe The
Palak Palak Khawb Bun Rahe The
Purkaif Saree Faza Thee
Zeest Tab Khawbon Ka Silsila Thee
Un Suhaag Raaton Mein
Un Gulaab Saa’aton Mein
Uski Sahaab Baaton Mein
Jis Pal Qadam Qadam Khushi Chun Rahe The
Palak Palak Kahwb Bun Rahe The
Khabar Na Thee Mujhe
Ke Bichar Ke Vo Phir Mil Na Paye Ga
Murjha Gaya Jo Lamha Vasl Ka
Dobara Vo Khil Na Paye Ga
Mere Muqadar Ki Jitni Suhaag Raatain Theen
Jis Qadar Gulaab Sa’atain Theen
Tamaam Jo Saahaab Baatain Theen
Kali Kali Jo Vasl Ki Khili Thee
Taqdeer Se Jo Bhi Khushi Milli Thee
Uski Meeiyaad Ab Khatm Hoee
Hur Kali Vasl Ki Bhasm Hoee
Ab Mein Hon Aur Azaab Raatain Hein
Bekhata Saza Patee Maasoom Chahatain Hein
Samataoun Men Gonjtee Teri Baatain Hein
Raakh Kartee Dilko Teree Yaadain Hein
Ab Na Suhaag Raatain Hein
Na Aab Gulaab Saa’atain Hein