Shab-E-Soz Mere Dar Pe Aati Hai Aaj Phir
Wohi Afsaana-E-Junoon Dohraati Hai Aaj Phir
Jise Bhoolne Ko Main Ne Laga Diya Zamana
Zindagi Mujhe Woh Geet Sunaati Hai Aaj Phir
Uff Yeh Sitam Ke Maazi Ke Band Dareechon Se
Aik Bhattki Hoyi Sada Pukaarti Hai Aaj Phir
Mujhe Omar-E-Jawaid Ki Dua Na Do Ke Mere Liye
Koi Zubaan Meri Maut Maangti Hai Aaj Phir
Wabasta Hain Jis Se Yaadon Ke Kayi Pehloon
Sawan Ki Wohi Raat Barasti Hai Aaj Phir
Kabhi Tootta Tha Wo Khuwaab Dikhati Hai Meri Nazar
Aik Aur Haseen Faraib Deti Hai Aaj Phir
Thama Tha Kabhi Tum Ne Dam-E-Aakhir Padha Tha Jo
Haan Us Si Diye Ki Lo Thartharaati Hai Aaj Phir
Minat-E-Toofaan Na Karein Ge Ke Hasraton Ki Kashti
Saahil-E-Tammana Ki Qasam Uthaati Hai Aaj Phir
Sakoon Kabhi Mila Nahi Chain Humara Naseeb Kahan
Mujhe Waadi-E-Dard-O-Gham Bulaati Hai Aaj Phir
Kia Patharon Ko Pukaar Betha Hai Jo Sada-E-Dil
Lott Kar Meri Samaat Se Takraati Hai Aaj Phir