Salaam, Pehlay Tu Meer Taqi Meer Ji Ka Ek Kalaam Aap Sab Ki Baseerat Ki Nazar Karna Chahta Hoon:
Samjhay Thay Meer Hum K Yeh Nasoor Kam Howa
Phir In Dino Mein Deedaa-E-Khoon Bar Nam Howa
Kafir Humaray Dil Ki Na Pooch Apnay Ishq Mein
Bait-Ul-Haram Tha Sou Woh Bait-Ul-Hazam Howa
Kiya Kiya Azeez-O-Doost Milay Meer Khaak Mein
Nadaan Yahan K Kisoo Ka Kisoo Ko Bhi Gham Howa

Ek Adna Si Koshish Ki Jusaarat Kari Is Kalaam Ko Saamnay Rakh Ker, Jo K Meer Taqi Meer Ji K Kalaam K Saamnay Ek Gustaakhi Ki Haasiyat Rakhti Hay, Per Raha Nahi Gaya Tu Likhnay Ki Koshish Kar Daali Kuch Jo Aap Sab K Saamnay Pesh Hay:
Jo Samjhay Ghum-E-Dauran Khatam Howa
Gooya Yeh Soochna Hum Per Sitam Howa
Dil Ki Haalat Kiya Poochtay Ho Doost
Jo Saha Kal Talak Woh Sab Hazam Howa

Bharka Shoula-E-Ishq Dil-E-Khaak Mein
Kyon Hairat Se Jag Deedaa-E-Chashm Howa
Kyon Ho Ashk Gooyi Tere Ghum Per Amaan
Tha Kal Ka Qissa Gooya Aaj Khatam Howa