Reza Reza Bhi Hue Khwaab Magar Khwaab Rahe
Toot Ke Bikhare Hain Aankho Se Ye Jaate Hi Nahi
Jaane Ye Khwaab Hain Ya Hain Koi Dushman Mere
Jitna Sisake Hain Hue Taza Nazar Me Meri
Dhul Ke Nikhare Hue Ik Phool Se Ban Jaaten Hain
Jab Kisi Raat Ye Aansu Me Badal Jaaten Hain
Lafz Ye Ban Na Sake Aankh Me Rahte Hain Meri
Padh Sake Inko Koi Aisi Nazar Hai Bhi Nahi
Jisaki Thi Aisi Nazar Door Hai Nazaron Se Vahi
Aur Ye Khwaab Hain Andhe Se Bina Usake Yahaan
Usaki Nazaron Se Nazar Inko Mile Aise Hain
Usake Bin Saans Na Len Khwab Ye Kuchh Aise Hain
Ji Ka Janjaal Bhi Hain Rooh Ki Khwahish Bhi Hain
Kya Bataun Ye Mere Khwaab Bhala Kaise Hain?