Ranjish Nahi Koi Mujhay Gilla To Nahi
Berukhi Ada Hai Uski, Jafa To Nahi
Qayamat Dhai Mujhpay Is Shehr Ki Tareekiyan
Ho Gazab Phir Jo Yaad Aajain Apni Woh Nazdikiyan
Kiya Karoon Kah Khud Peh Ikhtiyar To Nahi
Tujh Bin Dil Ko Kahin Bhi Karaar To Nahi
Kiyun Jalata Hoon Atish-E-Dil Ko Paymanay Main
Milti Hai Iztraab Hi Faqt Mujhay May Khanay Main
Ragoon Main Jo Hai Zehr Hai Khumar To Nahi
Aa Ja Kah Meri Sansoon Ka Eitebaar To Nahi
Tu Na Aaya Shabe Wada To Zamanay Nay Hath Choda
Awargiye Dil To Dekhiya Dharkanoo Ne Bhi Saath Choda
Ranjish Nahi Koi Mujhay Gilla To Nahi
Par Yeh Bhi Wafa Ka Koi Silla To Nahi