Rah.E.Vafaa Mein Gham.E.Judaa’ee Kabhee Miraa Ham.Qadam Na Hotaa
Tujhe Khudaa Kaa Jo Khauf Hotaa To Khwaar Mein Kham.Ba.Kham Na Hotaa!
Mujhe Sar.E.Bazm.E.Ghair Teree Nigaah.E.Kam’aashnaa Ne Maaraa
Jo Mujh Pe Ihsaan Yoon Na Hotaa, Tiraa Yeh Ihsaan Kam Na Hotaa!
Tumhaaree Iss Bandagee Ke Sadqe Miraa Muqaddar Urooj Per Hai
Jo Ishq Jalwa.Kushaa Na Hotaa To Dil Miraa Jaam.E.Jam Na Hotaa!
Buraa Ho Iss Zindagee Kaa Jiss Ne Hamen Kiyaa Khwaar Aashiqee Mein
:jo Ham Na Hote To Dil Na Hotaa, Jo Dil Na Hotaa To Gham Na Hotaa:*
Nigaah.E.Lutf.O.Karam Jo Karte Hamaaree Jaanib Bhee Gaahe-Gaahe
To Hashr.E.Ulfat Mein Ham Ko Shikwa Kabhee, Tumhaaree Qasam!, Na Hotaa!
Kabhee To Hangaam.E.Zindagee Mein Nigaah Miltee, Salaam Hotaa
Tujhe Bhee Dunyaa Kee Daad Miltee, Mujhe Bhee Marne Kaa Gham Na Hotaa!
Bhalaa Main Iss Tarah Kyon Bhataktaa Fisaad.E.Husn.E.Nazar Ke Haathon?
Agar Tiree Raah.E.Justujoo Mein Fareb.E.Der.O.Haram Na Hotaa
Ghamon Ke Haathon Hee Aaj “Deewana” Hai Ishq Mein Baa.Muraad.E.Manzil
Sitam Ba.Shakl.E.Karam Jo Hotaa, Karam.Ba.Shakl.E.Sitam Nah Hotaa!