Raat Me Shumma Dhokha Nahi Deti, Voh
Khud Ko Jalati Hai Oro Ko Jalne Nahi Deti.
Yeh Andhera Mere Dil Ka Hai, Jo Shumma
Se Kaha Roshan Hoga!!!!!!!!!!

Dil To Sadiyo Se Andhero Me Hai, Roshan
Hota Yeh Kabhi Mohabbat Se, Kabhi Uss Andekhe
Noor Se,Kabhi Khud Jal Jata Hai,Ki Kisi Ka Dil
Roshan Ho Jaye.
Khud Ko Jalana Kuch Thik Nahi Lagta Ab,
Khud Se Dhokha Karma Kuch Acha Nahi Lagta,
Khud Ko Aise Samjhana-Â…kaya Thik Hai!
Shumma Se Shikayat Kyu Humko,
Voh Waha Bhi Jalti Hai Jahan Parwana Nahi Hota,
Parwane Ka Uss Shumma Se Begana Ho Jana,
Ya Shumma Ka Parwane Se Door Jana.
Parwana Apni Mohabbat Chahta Hai,
Shumma Ki Apni Tapish Se Ussay Door Jana Hai.
Fir Bhi Parwane Ko Chah Hai Uss Tapish Ki,
Jis Tapish Ki Umar Pal Bhar Ki Bhi Nahi.
Shumma Ka Jalakar Khatam Ho Jana,
Parwane Ki Chahat Adhura Reh Jana
Oro Ko Ek Nay Din Ki Khabar Dena.
Oro Se Fir Uss Jalte Hue Shumma Ki Raat Ka Intzar Karma