Pucha Jab Unhone Bade Hi Pyar Se…….
Kaho Ab Tak Kis Tarah Beet Hai Umar Tumhari…………..?
Tab Honth Mere Khamosh Rahe…….
Par Ankhaoo Ne Ankhaoo Ki Bhasha Pad Daali……..
Diya Jawab Unko Meri Ankaoo Ne Kuch Is Awaz Se…………
Khamosh Se Reh Gaye Woh Bhi Pyar Ke Is Andaz Se…….
Kaha Meri Ankhaoo Ne……..Kuch Rangeen Ehasas Hai……..
Aapki Yaadon Ke Ab Bhi Mere Pass………
Apni Badrang Zindagee Ko Unhi Se Saja Rakha Hai
Abhi Tak En Ankhaoo Mein Tumhare Liye Cheepey Aasuoan Se……….
Apni Marusthal Si Zindagee Ko “Nam” Bana Rakha Hai
Woh Ek Unbujhi Si Aag Jo Tum Chor Gaye They Mere Bheetar……
Apni Baraf Hoti Bhavanaon Ko Uski Garmi Se Pighala Rakha Hai
Ab Kaun Kare Ankahee,Beete Benaam Si Zindgee Ka Hisaab…….
Maine Toh Apni Baki Bachee Saanso Per Bhi Tumhara Hi Naam Likha Hai……………
Tumhre Jane Ke Baad Bhee Jise Apana Kah Sakoon
.Aaj Tak Door Door Tak Aisa Kaun Dikha Hai…
Maine Toh Baki Bachee Saanso Per Bhi Bas Tumhara Hi Naam Likha Hai