Nabard Karte Apni Zindagi Kyun Bitaate Hain,
Raaste Par Koi Phool Kyun Nahi Lagaate Hain,
Unke Chehre Ki Khushi Meri Khwaahish Thi,
Woh Mere Chehre Seh Khushi Churaate Hain,

Unke Saamne Kaanto Koh Rang Diya Humne,
Marham Bhi Woh Humse Door Hataate Hain,
Har Khadam Tha Mera Tanha In Raaho Mein,
Ummeed Jhooti Jagaakar Hume Jalaate Hain,
Jazbaa-E-Dil Mera Unhone Sirf Khel Samjhaa
Jis Dil Mein Rakha Tha Usi Koh Dukhaate Hain,
Zamaane Ne Utaayi Ungli Mohabbat Par Meri,
Ilzaam Lagte He Woh Khud Koh Bachaate Hain,
Dard Koo-E-Yaar Par Sahaa Hain Kaise Sambale,
Pehele He Aansu Hai Toh Woh Aur Rulaate Hain,
Shaayad Ab Maut Mujhey Aarahi Hain Yahaan,
Toh Woh Wahaan Mera Janaaza Sajaate Hain,
Mazaar Par Meri Aate Hain Log Ahbaab Maankar,
Zamaane Ne Yaad Rakha, Aur Woh Bhulaate Hain.