Na Zikr Karo Unka Na Baat Kisi Gair Ki Ho
Khamoshiya Hi Rehne Do Is Baar Mera Dil Toota Hai
Hai Kise Chah Roshni Ki Ye Shama Kis Ne Jalayi Hai
Taariqiyo Ko Chaa Ne Do Is Baar Mera Dil Toota Hai
Ek Umeed Dil Mein Basayi Thi Ab Baki Nahi Hai Kuch Bhi
Tanha Ziist Guzar Ne Do Is Baar Mera Dil Toota Hai
Bohot Uthaye Naaz Unke Aur Sahi Saari Ghutkiya Bhi
Humse Na Ab Koi Aas Rakho Is Baar Mera Dil Toota Hai
Apno Ne Humein Thukraya Hai Gair Bhala Apnaye Kyu
Mat Pucho Mujhse Haal Mera Is Baar Mera Dil Toota Hai
Kyu Mangu Kisi Se Main Panaah Kyu Jau Kisi Ki Chokhat Pe
Aey Rab Tujhi Se Hai Gila Ke Is Baar Mera Dil Toota Hai
Aasaar Mere Samje Na Mere Gam Ki Hadh Jaani
Ab Nahi Talab Baaki Koi Mehfil Ki Is Baar Mera Dil Toota Hai
Na Udaao Yuh Meri Hasi Na Dekho Aisi Nazro Se
Main Sach Kehti Hu Tumse Is Baar Mera Dil Toota Hai
Mat Pucho Mujh Se Aey Dosto Kaise Lagi Ye Chot Mujhe
Bas Itna Jaan Lo Tum Ke Is Baar Mera Dil Toota Hai
Na Mujh Se Koi Sawaal Karo Na Jawaab Ki Koi Tamanna Rakho
Main Kuch Kehna Ke Kabil Nahi Is Baar Mera Dil Toota Hai
Kyu Cheda Hai In Afasano Ko Kya Rakha Hai In Fasano Mein
Bandh Kardo Ab Ye Guftagu Is Baar Mera Dil Toota Hai
Piya Nahi Jaata Hai Mujhe Se Ayyaam Ki Is Talkhi Ko
Lahed Mein Mujhe Ab So Jaane Do Is Baar Mera Dil Toota Hai
Dil Ke Har Ek Tukde Se Yahi Ek Sadaa Bas Aati Hai
Rakh Do Kalam Ko Aey Kamsin Is Baar Mera Dil Toota Hai