Na Piyar Ishq Aur Mohabbat Ki Baatain Hain
Aur Kahaan Ab Woh Sohbat Ki Raatain Hain
(Sohbat=saath)
Hota Tha Pehlo Mein Unn Kay Baseera Kabhi
Ab Kahaan Woh Mohabbat Ki Raahtain Hain
(Raahtain=rahat/sukoon)
Tarsay Hain Ab Tu Unn Ki Berukhi Paanay Ko
Pa Lainge Phir Kabhi Jo Qurbat Ki Saatain Hain
(Qurbat=qareeb, Saatain=pal..
Mein Utha Rakhaingay)
Hum Ne Jafaaon Ka Sila Bhi Wafaaon Se Diya
Phir Bhi Woh Kartay Tohmat Ki Baatain Hain
(Tohmat=ilzaam)
Woh Tehray Hain Mautabar Nisbat-E-Aman Se
Ahl-E-Wafa Yohi Rasm Ulfat Ki Nibhatay Hain
(Mautabar=famous/respected, Nisbat-E-Aman=aman K Naam Se…)