Na Jane Kyon Mere Kadam
Us Maa Ki Jholi Dekhkar Tthehar Gaye,
Wahin Per Tow Uska Baccaha
Bhook Se Roye Ja Raha Tha.
Bacchey Ki Bhook Ko Mehsoos Kar
Maa Ke Aansu Bhi
Laal Rang Pakad Chuke Tthey.
Uski Adhkhuli Chaati Ka
Doodh Sookh Jo Chuka Tha.
Wahin Kuch Bhookey Bhediye
Maa Ka Shareer Ghoor Rahe Tthey.
Woh Uss Maa Mein
Aurat Talaash Rahe Tthey.
Apni Aankhon Se Jaise
Nimantran De Rahe Hon
Uss Laachaari Ko.
Majboor Maa Duvidha Ke
Gehre Saagar Mein Doobti
Bacchey Ki Bhook Ki Khaatir
Har Kadam Utthaaney Ko
Majboor Thi Tayaar Thi.
Samaaj Ki Aisi Vyatha
Ko Dekhkar Mujhe
Ghrinaa Ho Gayi Thi Khud Se,
Laga Jaise Yeh ‘Samaaj’
Mera Hee Tow Naam Hai.