Na Jaane Unhe Aaj Kis Baat Ka Gham Hai,
Paas Unke Nau-Umar , Unka Humdum Hai.
Na Jaane Kis Baat Pe Woh Rote Aaj Bhi Hain,
Khalvat-E-Dil Se Jhunjhte To Aaj Bhi Hum Hai.
Chaah Unhe Hum Chaahat Se Bhi Zyada Rahe Hain,
Par Chashm-E-Yaar Ko Woh Chahat Bhi Lagi Kam Hai.
Woh Jo Aaj Jhutla Raha Mera Wajood-E-Ishq Hai,
Woh Koi Aur Nahi Mera Dil-Sitaan, Mera Baalam Hai.
Kabhi Dekhte Te Sath Sath Hum Us Maahataab Ko,
Aaj Wohi Mah Dekh Kar Nikalta Mera Dum Hai.
Hamesha Se Hi Sabse Haarta Raha Yeh Khabt Hai ,
Aaj Jo Jeeta Hai, Woh To Mere Yaar Ka Sitam Hai.
Dekh Khuda, Is Diwane Ki Rooh Kahaan Atak Gayi Hai,
Yeh Deel Nahi, Ek Lash Hai, Jisme Atka Mera Dam Hai.
Mashooq Ki Aabaadi Pe Asshiqon Ke Khush Hone Ka Rivaaz Hai,
Phir Nagmaa-E-Mastaanaa Sun Ke Meri Ankh Kyon Nam Hai?