Mohabbat Ki Hain Humne Unse Yeh Kya Sazaa Hain,
Aaj Bhi Hum Ba-Wafaa Hain Jab Woh Be-Wafaa Hain,
Phool Bhare They Itne Ki Qayaamat Tak Khatam Nahi Honge,
Mera Raasta Magar Aaj Bhi Kaanto Seh Bharaa Hain,
Ek Ahal-E-Wafaa Koh Woh Ahal-E-Dil Na Banaa Sake,
Us Bewafaa Koh Dil Mein Rakhne Waale Ka Dil Kitnaa Badaa Hain,
Ahal-E-Wafaa=faithful People, Ahal-E-Dil=resident Of Heart;
Khushi Apni Di Itnee Ki Unke Gham Kam Pade,
Aaj Mera He Gham Sabh Seh Badaa Hain,
Wafaa Ki Nahi Unhone Zindagi Mein Humse,
Magar Kehete Hain Ki Wafaai Ka Raasta Badaa Hain,
Woh Aaj Hain Kisi Aur Ki Raaho Mein Khada,
Magar Yeh Dil Aaj Maikhaane Par Khadaa Hain,
Piye Toh Aansu Bhi Hain Aur Abh Piye Sharaab Bhi,
Koi Zaraa Bataa De Ki Yeh Nasha Kiska Chadaa Hain,
Aaj Asar Nahi Hota Mujh Par Kisi Bhi Khushi Ka,
Ya Main Andha Ho Gaya Yaa Dil Mera Nahi Rahaa Hain,
Mohabbat Ki Soorat Badalke Woh Aaj Hum Par Has Rahaa Hain,
Teri Bebas Doli Ke Aage Mera Phoolo Seh Sajaa Janaaza Chalaa Hain.