Mohabbat Karte They Hum Unse Magar Woh Yaar He Nahi,
Dil Toot Gaya Meraa Jab Unhe Humse Pyaar He Nahi,
Unhe Chaahane Ki Sivaah Meri Kahaani Nahi,
Zameen Par Khade Hai Aaj Ki Vafaa Ki Savaari Nahi,
Hume Toh Mohabbat Huyi Thi Koi Beemari Nahi,
Shafa-E-Aazaar Hain Magar Shafa-E-Bekharaari Nahi,
(Shafa-E-Aazaar=cure Of Illness, Shafa-E-Bekharaari=cure Of Anxiety)
Chark-E-Falak Par They Aaj Apni Koi Nishaani Nahi,
Mohabbat Ki Thi Humne Koi Be-Emaani Nahi,
(Chark-E-Falak=seventh Heaven, Be-Emaani=unfaithful)
Ahal-E-Vafaa Khud Koh Woh Kehte They Bevafaai Nahi,
Hadd-E-Nazar Tak Aaj Hume Dikhi Unki Vafaai Nahi,
(Ahal-E-Vafaa=people Who Are Faithful, Hadd-E-Nazar=as Far As Your Eye Can See)
Beysabaab Hogayi Alaahedgi Yeh Vafaa Nahi,
Chiraaq-E-Shab Ka Dhuaa Hain Baad-E-Saba Nahi,
(Beysabaab=without Any Reason, Alaahedgi=break Up,
Chiraaq-E-Shab=night Lamp, Baad-E-Saba=morning Breeze)
Daastan-E-Shauq Bataane Ke Ab Hum Khaabil Nahi,
Abdi Ashk Ke Sivaah Kuch Bhi Haasil Nahi,
(Daastan-E-Shauq=story Of Love, Abdi=everlasting)
Bevafaai Ke Daur Mein Vafaa Ki Baari Nahi,
Rifat-E-Kohasar Seh Gire Toh Ajal Seh Yaari Nahi,
(Rifat-E-Kohasar=mountain Peak;ajal=death)
Haal-E-Ashiq Ka Zamaane Mein Achha Nahi,
Ahal-E-Ishq Rehkar Bhi Munsif Uska Sachha Nahi,
(Ahal-E-Ishq= People Who Love, Munsif=judge)
Berukhi Ke Is Zamaane Par Vafaa Ki Jaali Nahi,
Abhi Math Maaro Hume Janaaze Khaali Nahi,