Mehkaati Hui Hawa Jaise
Aa Nikli Fir Udhar Se
Baal Bikhre Hue Ghata Se
Aankh Jagi Hui Sitaaron Si
Honthon Pe Nami Shabnam Ki
Gaalon Pe Hansi Phoolon Ki
Chehra Khila Sawan Sa
Wo Mallika Husn Waalon Ki
Thehre Thehre Kadam Se
Wo Kuch Aur Kareeb Aaye
Haathon Ko Pakad Ke Mere
Wo Fir Yu Muskuraye
Aaye Nahi Zaalim Ko
Koi Lafz-E-Ruswai
Jaate Jaate Keh Gaye
Phir Milenge…Keh Kar Chale Gaye..
….Shayad Main Is Kaabil Nahi
Shayad Woh Meri Manzil Nahi
Mere Har Sawal Ka Wo Jawab Thi
Shayad….Shayad Woh Sirf Ek Khwab Thi